the life with editings

the life with editings
Do not dwell in the past, do not dream of the future, concentrate the mind on the present moment.

Dr. Kumar Vishwas

Kisi Ke Dil Ki Mayusi Jahan Se Hoke Gujari Hai ,
Hamari Saari Chalaki Wohin Pe Khoke Gujari Hai ,
Hamari Or Tumhari Raat Mein Bas Fark Itna Hai ,
Tumhaari "So" Kar Gujari Hai , Humaari "Ro" Kar Gujari Hai....

Bahut Bikhra Bahut Toota, Thapede Seh Nahi Paaya…
Hawaaon Ke Ishaaron Par, Magar Main Beh Nahi Paaya…
Adhoora AnSuna Hi Reh Gaya Yoon Pyaar Ka Kissa…
Kabhi Tum Sun Nahi Paaye, Kabhi Main Keh Nahin Paaya…

mera pratiman aansun main bhigokar gadh liya hota
akinchan paon tab aage tumhara badh liya hota
meri aankhon main ankit samarpan ki richayen thi
unhe kuch arth mil jata jo tumne padh liya hota...

koi patthar ki murat hai kisi patthar me murat hai
lo hamne dekh li duniya bahut hi khoobsurat hai
zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai
tujhe meri zaroorat hai, mujhe teri zaroorat hai...

Rooh jism ka thaur-thikana chalta rahta hai,
Jeena-marna, khona-paana chalta rahta hai .
Sukh-dukh waali chaadar ghati-badhti rahti hai,
Maula tera tana-bana chalta rahta hai
Yaad daffatan dil mein aati-jaati rahti hai,
Sanson ka bhi aana-jaana chalta rahta hai .
Ishq karo to jeete jee mar jaana padta hai
Mar kar bhi lekin jurmana chalta rahata hai...

Ye chadar sukh ki maula kyu sada choti banata hai
Sira koi bhi dhamo...dusra khud chut jata hai
Tumhare sath toh main jamane bhar mein ruswa tha
Magar ab tum nahi ho toh zamana sath gata hai...

Mere jeene meiN marne meiN tumhara naam aayega,
MaiN saaseiN rok looN phir bhi yehi ilzaam aayega,
Har ek dharkan meiN jab tum ho to phir apraadh kya mera,
Agar radha pukaregi to phir ghanashyam aayega...


Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai...


Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya...


mohabbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
kabhi kabeera diwana tha, kabhi meera diwani hai
yaha sab log kahte hai meri aankhon main aansu hain
jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai...


ye dil barbaad karke isme kyu aabaad rahte ho
koi kal kah raha tha tum allahbad rahte ho
ye kaisi shohrate mujko ata kar di mere maula
main sab kuch bhool jaata hoon magar tum yaad rahte ho...


ke mile har zakhm ko muskaan se seena nahi aya
amarta chahte the pr zehr peena nahi aaya
tumari aur meri daasta mei farq itna hai
mujhe marna nahi aya tumhe jeena nahi aya...

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
Ye ansoon pyar ka moti hai isko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta...

Basti Basti Ghor Udaasi
Parbat Parbat Khaalipan
Mann Heera bemol Lutt Gaya
Ghis Ghis ri Ka Tan Chandan
Is Dharti Se Us Ambar Tak
Do Hi Cheez Gazab Ki Hain
Ek To Tera Bholapan hai
Ek Mera Deewanapan....


इस उड़ान पर अब शर्मिन्दा, तू भी है और मैं भी हूं
आसमान से गिरा परिन्दा, तू भी है और मैं भी हूं
छूट गईं रस्ते में जीने – मरने की सारी क़समें
अपने – अपने हाल में ज़िन्दा, तू भी है और मैं भी हूं...


Kushhali main ek badhali, main bhi hu aur tu bhi hai,
Har nazar par ek swali, main bhi hu aur tu bhi hai,
Duniya kuch bhi arth lgaye hum dono ko malum hai,
Bhare bhare par khali khali main bhi hu aur tu bhi hai...



JISKI DHUN PER DUNIYA NAACHE,DIL AISA EK TAARA HAI,
JO HUM KO BHI PYARA HAI AUR,JO TUM KO BHI PYARA HAI,
JHOOM RAHI HAI SARI DUNIYA,JABKI HAMARE GEETON PER,
TAB KETHI HO PYAR HUA HAI,KYA EAHSAN TUMHARA HAI,...


Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,
Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,
Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,
Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sbki chokto par,
Un ujalo ka whi, paigam le aye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum………
Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai hmne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai hmne,
Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,
Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,
In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,
Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,
Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum…



Haar gaya tan man pukar kar tumhe,
kitne ekaki hai pyaar kar tumhe,
haar gaya tan man re haar gaya re
Jis pal haldi lipi hoge tan par maa ne,
Jis pal sakhiyo ne sopi hogi sogate,
dholak ki thaapo me, ghunghuru ki runjhun me,
ghul kar faili hongi ghar me pyari baate,
Us pal meethi si dhun
ghar ke aangan me sun,
roe man - chousar par haar kar tumhe,
kitne ekaki hai pyaar kar tumhe,
haar gaya tan man re haar gaya re
kal tak jo humko tumko milva deti thi,
un sakhiyo ke prashno ne toka to hoga
saajan ki anjuri par, anjuri kaapi hogi,
meri sudhiyo ne rasta roka to hoga.
Us pal socha man me,
aage ab jeevan me,
jee lenge haskar, bisaar kar tumhe,
kitne ekaki hai pyaar kar tumhe
Haar gaya tna man re haar gaya re
kal tak jin geeto ko tum apna kehte the,
akhbaaro me padhkar keaisa lagta hoga,
saawan ki raato me, saajan ki baaho me,
tan to sota hoga par man jagta hoga,
Us pal ke jeene me
aansu pi lene me,
marte hai, man hi man, maar kar tumhe,
kitne ekaki hai pyaar kar tumhe
haar gaya tan man re haar gaya re
haar gaya tan man pukar kar tumhe
kitne ekaki ha pyaar kar tumhe....



Mera apna tajurba hai,
tumhein batla raha hoon main,
koi lab choo gaya tha tab,
ke ab tak gaa raha hoon main.
bichur ke pyar mein kaise jiya jaaye bina tadpe
jo mai khudh hi samjha wahi samjha raha hoon....


"Koi Manzil Nahi Jachti, Safar Achcha Nahi Lagta ,
Agar Ghar Laut Bhi Aaun To Ghar Achcha Nahi Lagta ,
Karun kuchbhi,Mai ab Duniya ko sab,Achcha hi lagta hai
Mujhe Kuch Bhi Tumhare Bin Magar Achcha Nahi Lagta"....


Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo
Khamosh Itna Hai
Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein
Madhosh Kitna Hai
Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi
Main Sabab Mein Ka
Jo Khud Behosh Ho Wo Kya
Bataye Ke Hosh Kitna Hai
Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke
Paar Hota Hai
Wo Koi Gair Kya Apna Hi
Rishtedaar Hota Hai
Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna
Na Bhoole Se
Yahan Khat Bhi Thodi Der Se
Akhbaar Hota Hai.....

Swayam se door ho tum bhi, swayam se door hain hum bhai
bohot mashhoor ho tum bhi, bohot mashhoor hai hum bhi
bade magroor ho tum bhi, bade magroor hain hum bhi
atah majboor ho tum bhi, atah majboor hain hum bhi....


Pukare Aankh Mein Chadhkar To Khoon Ko Khoon Samajhta Hai
Andhera Kis Ko Kehte Hain Ye Bas Jugnu Samajhta Hai
Humein To Chaand Taaron Mein Bhi Tera Roop Dikhta Hai
Mohabbat Mein Numaesh Ko Adayein Tu Samajhta Hai....


तुम अगर नहीं आई, गीत गा न पाउँगा..
सांस साथ छोड़ देगी, सुर सजा न पाउँगा..
तान भावना की है, शब्द-शब्द दर्पण है,
बांसुरी चली आओ होठ का निमंत्रण है.

तुम बिना हथेली की हर लकीर प्यासी है,
तीर पार कान्हा से, दूर राधिका सी है.
दूरियां समझती है, दर्द कैसे सहना है,
आँख लाख चाहे पर, होठ को न कहना है
औषधि चली आओ चोट का निमंत्रण है.


तुम अलग हुई मुझसे, सांस की खताओं से
खुद की दलीलों से, वक़्त की सजाओं से,
रात की उदासी को आंसुओं ने झेला है,
कुछ गलत न कर बैठे, मन बहोत अकेला है.
कंचनी कसौटी को, खोट का निमंत्रण है.